phal phenk ke hamsae ke ghar tang karega

phal phenk ke hamsae ke ghar tang karega
ek roz ye aangan ka shajar tang karega

lagta tha bichhad ke main baha lungi do aansu
malum na tha dida-e-tar tang karega

hans kar tujhe milti hun to ye baat bhi sun le
main ro bhi padungi to agar tang karega

khush-fahmiyan ta-umr nahin sath nibhatin
ek roz tujhe husn-e-nazar tang karega

is waste tanha use jaane nahin deti
jugnu ko andheron ka safar tang karega

kuchh roz use dekh ke yaad aaengi chidiyan
kuchh roz ye tuta hua par tang karega

sab kahne ki baaten hain ye ikhlas-o-murawwat
mat is pe yaqin kar wo 'qamar' tang karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close