phati mashken liye din-raat dariya dekhne wale bayaban ban gae pani ziyaada dekhne wale yahan koi musalsal dekhne wala nahin tujh ko hamare sath chal hum hain hamesha dekhne wale tumhaare husn se insaf karne ka taqaza hai tumhein dekhen ziyaada se ziyaada dekhne wale imarat ishq ki tanha khadi hogi kahan tum se hamein bhi sath rakkho hum hain naqsha dekhne wale hamare samne tarif karta kaun kufe ki sabhi ko ilm tha hum hain madina dekhne wale bichhadte waqt mud kar is liye dekha nahin main ne kai manzar nahin hote dobara dekhne wale kisi ne ma-siwa-e-khak dil se kuchh nahin paya bahut se log aae ye ilaqa dekhne wale