phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein

phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein
kabhi to ek pal ai dost yun thahar mujh mein

jo khud mein jhankun to sannate sansanate hain
koi to kar gaya hai raat yun basar mujh mein

bhatakta phirta hun sunsan rahguzaron par
basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh mein

ajab nahin kai moti bhi tere hath lagen
zara le kaam tu himmat se aur utar mujh mein

main teri zat ka saya hun tere andar hun
meri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close