phir iztirab-e-shauq mein gham se mafar kahan wo husn-e-iltifat wo husn-e-nazar kahan tariki-e-hayat se ghabra gaya hai ji dekhen shab-e-firaq ki phir ho sahar kahan tere baghair mahfil-e-dil bhi udas hai ai husn-e-na-shanas tujhe ye khabar kahan ab tak samajh raha tha jise teri rahguzar tha ek fareb-e-shauq teri rahguzar kahan arsa hua ki bazm-e-tamanna ujad chuki pahli si ab wo raunaq-e-sham-o-sahar kahan jalwon ki tab la na saki dil ki aankh bhi phir dekhe kis tarah koi tab-e-nazar kahan ek chashm-e-lutf ka hai teri muntazir 'kalim' warna jabin-e-shauq kahan sang-e-dar kahan