phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha

phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha
chand jin chaar gawahon ko nazar aaya tha

rang phulon ne chune aap se milte julte
aur batate bhi nahin kaun idhar aaya tha

bund bhi tishna ababil pe nazil na hui
warna baadal to bulandi se utar aaya tha

tu ne dekha hi nahin warna wafa ka mujrim
apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya tha

bhul baithe hain nae khwab ki sarshaari mein
is se pahle bhi to ek khwab nazar aaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close