phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala

phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala
shahr mein koi nahin aankh jhapakne wala

jis se har shakh pe phuti tere aane ki mahak
aam ke ped pe wo bor hai pakne wala

yun to aangan mein charaghon ki farawani hai
bujhta jata hai wo ek nam chamakne wala

phir kahani mein nishani ki tarah chhod gaya
dil ki dahliz pe ek dard dhadakne wala

hijr-taksal mein dhaalega ghazal ke sikke
teri mahfil mein kabhi bol na sakne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close