phir yaad use karne ki fursat nikal aai

phir yaad use karne ki fursat nikal aai
mat puchhiye kis mod pe qismat nikal aai

kuchh in dinon dil us ka dukha hai to hamein bhi
us shakhs se milne ki sahulat nikal aai

aabaad hue jab se un aankhon ke kinare
duniya jise samjhe the wo jannat nikal aai

jo khwab ki dahliz talak bhi nahin aaya
aaj us se mulaqat ki surat nikal aai

ab aa ke gale milta hai pahle tha gurezan
kya hum se use koi zarurat nikal aai

ek shakhs ki mahbub-nigahi ke sabab se
'ashfaq' tumhaari bhi to qamat nikal aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close