phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai

phul zamin par gira phir mujhe nind aa gai
dur kisi ne kuchh kaha phir mujhe nind aa gai

abr ki ot mein kahin narm si dastaken huin
sath hi koi dar khula phir mujhe nind aa gai

raat bahut hawa chali aur shajar bahut dare
main bhi zara zara dara phir mujhe nind aa gai

aur hi ek samt se aur hi ek maqam par
gard ne shahr ko chhua phir mujhe nind aa gai

apne hi ek rup se taza sukhan ke darmiyan
main kisi baat par hansa phir mujhe nind aa gai

tu kahin aas-pas tha wo tera iltibas tha
main use dekhta raha phir mujhe nind aa gai

ek ajab firaq se ek ajab visal tak
apne khayal mein chala phir mujhe nind aa gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close