pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart

pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart
aao utha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart

shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid
zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart

ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban
raaten guzarni hon to kali bala ki shart

ye kya zarur ho mizha-e-ishq khun-fishan
kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart

har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan
har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart

kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri
rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart

kyun dil ke todne ko kahen rasm-e-dilbari
kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart

kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju
kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart

kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den
kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart

kyun har ghadi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr
kyun har amal ki fikr mein khauf-e-khuda ki shart

hum ne khud apne-ap zamane ki sair ki
hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close