pine den mai-kashon ko jahan bhi piya karen sajda wuzu karen na karen bas dua karen kanon ne kya suna tha zabanon ne kya kaha insaniyat ghati hai yahan kam mila karen ru-posh phir rahe hain riyasat ke baadshah gaddi pe phir ye kaun hai chaliye pata karen amn-e-jahan ko jhonk di apni jawaniyan is se ziyaada 'dip' bhala aur kya karen