poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surKH

poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surkh
ho jae na partaw se tere kaun-o-makan surkh

yan baada-e-ahmar ke chhalakte hain jo saghar
ai pir-e-mughan dekh ki hai sari dukan surkh

pi baada-e-ahmar to ye kahne laga gul-ru
main surkh hun tum surkh zamin surkh zaman surkh

kya pan ki surkhi ne kiya qatl kisi ko
shiddat se hai kyun aaj teri tegh-e-zaban surkh

sine mein dil-e-gham-zada khun ho gaya shayad
be-wajh bhi hote hain kahin ashk-e-rawan surkh

kya bhadke hai sine mein mere aatish-e-furqat
jo aah ke ham-rah nikalta hai dhuan surkh

ye qatl-e-khizan par hain jawanan-e-chaman shad
har samt gul-o-lala udate hain nishan surkh

gar meri shahadat ki bashaarat nahin 'parwin'
phir kyun hai khat-e-shauq ke unwan ye nishan surkh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close