puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka

puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka
hum bhi kahen ki shukr hai parwardigar ka

lazim agar hai shukr hi parwardigar ka
phir kya ilaj gardish-e-lail-o-nahaar ka

sayyaad bhi pahunch gaya gul-chi bhi bagh mein
ai ham-safir aa gaya mausam bahaar ka

tadbir kya ho sabr-o-shakeb-o-qarar ki
wo tund-khu hai bas ka na dil ikhtiyar ka

kyun-kar mite nadamat-e-izhaar-e-arzu
aalam nazar mein hai nigah-e-sharmsar ka

qanun kis ne badla hai qudrat ka shaikh-ji
daru hai ab bhi mai hi gham-e-rozgar ka

un namiyon ke hashr se ibrat-pazir ho
baqi nahin nishan bhi jin ke ghubar ka

rakkhega be-qarar tumhein bhi tamam umr
marna tadap tadap ke kisi be-qarar ka

be-laus ho hawas se agar ishq ai 'wafa'
hai zikr-e-yar mein bhi maza wasl-e-yar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close