puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se

puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se
ishq ke ramz ko puchho kisi farzane se

ji nikal jawega zalim mera ab jaane se
yan na aana hi bhala tha tere is aane se

roz ke dukh se chhata raat ke jalne se raha
dosti shama ne ki dosto parwane se

dil baja lawega jo kuchh ise kije irshad
ye to bahar nahin kuchh aap ke farmane se

yun yakayak jo hue us ke jigar ke tukde
nahin malum kaha zulf ne kya shane se

zabt lazim hai jab hi tak ki na ho aankh mein ashk
ab to bhar aaya hai dil ashk ke bhar aane se

ro le dil khol ke tu is ghadi 'asif' apna
nahin ghut jawega dam ashk ke pi jaane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close