purane log nae karobar dete hain

purane log nae karobar dete hain
khizan kharid ke fasl-e-bahaar dete hain

zarur un ko mohabbat se wasta hoga
jo ranj-o-gham ke ewaz hum ko pyar dete hain

shab-e-visal ki lazzat unhen nasib hui
jo intizar ki ghadiyan guzar dete hain

hamare ashk mohabbat mein qimti thahre
gham-e-hayat ki qismat sanwar dete hain

milan ki rut pe bashar kya darakht aur paude
sab apni apni qabaen utar dete hain

hamari jaan ki qimat chuka rahe hain wo
mila ke khak mein musht-e-ghubar dete hain

hum apne aap mein khud ba-waqar hain 'asi'
jo be-waqar hain apna waqar dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close