pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain

pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain

wasl ka lutf mujhe wasl se pahle hi mila
jab kaha yar ne ghabra ke ye kya karte hain

is qadar tha mujhe ulfat mein bharosa un par
ki jafa bhi to ye samjha ki wafa karte hain

hai yahi arz khuda se ki fulan but mil jae
wahi achchhe jo namazon mein dua karte hain

lab kisi ke jo hile kan udhar dhyan udhar
dil laga kar wo mera zikr suna karte hain

subah ko dekh ke aaine mein bose ka nishan
muskuraate hue honton mein gila karte hain

kaise kaise mujhe be-sakhta milte hain khitab
ghussa aata hai to kya kya wo kaha karte hain

kya hua mujh ko raqibon ne agar di tazim
teri mahfil mein to fitne hi utha karte hain

kan baaton ki taraf aankh hai kaamon ki taraf
ho ke anjaan mera zikr suna karte hain

chin peshani pe hai mauj-e-tabassum lab mein
aise hansmukh hain ki ghusse mein hansa karte hain

bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyun hon zalil
hum to apna hi lahu aap piya karte hain

is ishaare ke fida aise tajahul ke nisar
mar kar aankh wo munh pher liya karte hain

jalse hi jalse hain jab se wo hue khud-mukhtar
koi itna nahin kahta ki ye kya karte hain

aashiqana hai aqida bhi hamara 'mail'
le ke hum nam-e-butan zikr-e-khuda karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close