pyar ka karobar karta hun

pyar ka karobar karta hun
sab ko duniya mein pyar karta hun

khud pe main e'tibar karta hun
pyar karta tha pyar karta hun

aah be-ikhtiyar karta hun
yaad jab us ka pyar karta hun

mujh ko nafrat se sakht nafrat hai
pyar ko dil se pyar karta hun

maut ka intizar kya mani
zindagani se pyar karta hun

sabza-o-khar-o-gul sabhi hain aziz
sare gulshan ko pyar karta hun

dost kar leta hun adu ko bhi
dushmanon ko bhi pyar karta hun

mujh ko kya ho kisi ka kuchh maslak
main shiar apna pyar karta hun

mujh ko sangin buton se ulfat hai
pattharon ko main pyar karta hun

bach ke chalna sikhaya kanton ne
is mein main un ko pyar karta hun

umr dukh dard mein kati apni
is liye gham se pyar karta hun

lut le dil jo aankh malte hi
aise rahzan ko pyar karta hun

un ko aata hai jis qadar ghussa
utna hi aur pyar karta hun

mujh mein rach bas gaya hai pyar aisa
sab ko duniya mein pyar karta hun

roz-e-awwal se aaj tak 'mahir'
us ko nadida pyar karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close