pyasi thi ye KHud mere lahu ki

pyasi thi ye khud mere lahu ki
thi tez chhuri rag-e-gulu ki

dil kho ke na main ne justuju ki
samjha tha ki bund thi lahu ki

tum pas jo aae kho gae hum
jab tum na mile to justuju ki

sab zakhm ke tanke sath tute
hajat na rahi koi rafu ki

khud kho gae hum jahan mein aakhir
is had pe kisi ki justuju ki

dekha ki zamin se aag nikli
jab bund tapak padi lahu ki

roi wahan shama yan hanse phul
wo qabr meri thi ye adu ki

wo samne aae ghash hue ye
musa ki nazar kahan pe chuki

tiron pe kisi ke bant bhi dun
khai thi qasam isi lahu ki

is dagh ko main ne dil mein rakkha
dushman ne na jis ki aarzu ki

'jawed' wo lash kyun uthaen
marzi bhi to puchh len adu ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close