qabil-e-did ye bhi manzar hai

qabil-e-did ye bhi manzar hai
har khushi gham ka ek daftar hai

sochta hun yahi mera ghar hai
kis ke jalwon se ab munawwar hai

yaad-e-jaanan are maaz-allah
jaise pahlu mein ek nashtar hai

un se har chand rasm-o-rah nahin
silsila gham ka phir barabar hai

kaise ho mustafiz peshani
sang-dil jab ki khud tera dar hai

yak-ba-yak hans pada hai diwana
har-nafas dekhta hai shashdar hai

imtihan 'khizr' hai wafaon ka
us ke hathon mein aaj khanjar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close