qadam uThe hain to dhul aasman tak jae

qadam uthe hain to dhul aasman tak jae
chale chalo ki jahan tak bhi ye sadak jae

nazar uthao ki ab tirgi ke chehre par
ajab nahin ki koi raushni lapak jae

gudaz jism se phulon pe ungliyan rakh dun
ye shakh aur zara sa agar lachak jae

kabhi kabhaar tere jism ka akela-pan
mere khayal ki uryaniyat ko dhak jae

tere khayal ki tamsil yun samajh jaanan
dil o dimagh mein bijli si ek chamak jae

tere visal ki ummid yun bhi tuti hai
ki aankh bhar bhi nahin pae aur chhalak jae

kabhi kabhaar bharose ka qatl yun bhi ho
ki jaise panw tale se zamin sarak jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close