qaidi hun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle

qaidi hun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle
paband hun paidaish-e-zanjir se pahle

sar-gashta hun daur-e-falak-e-pir se pahle
gardish mein hun main gardish-e-taqdir se pahle

kya lati hai teri nigah-e-qahr ka muzhda
daude hue aati hai ajal tir se pahle

nalon se unhen hoti hai nafrat ewaz-e-lutf
taqdir bigad jati hai tadbir se pahle

mara hai mujhe khanjar-e-abru se kisi ne
nahlaiyo aab-e-dam-e-shamshir se pahle

ghar se tere diwane ne jab panw nikala
chhaalon ne qadam le liye zanjir se pahle

kis tarah kahun aap ke honton ki halawat
lab band hue jate hain taqrir se pahle

paband-e-gham-e-zulf ka marna na chhupega
pahunchegi khabar nala-e-zanjir se pahle

kis hausle par talib-e-didar hai aalam
aankhen to lada le koi taswir se pahle

be-tab hue yar ki chutki se nikal kar
tir aap tadapne lage nakhchir se pahle

pane ki nahin dil ka thikana khalish-e-gham
jab tak na pata puchhe tere tir se pahle

ghabrane se kya kaam 'munir'-e-jigar-afkar
tu arz to kar hazrat-e-shabbir se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close