qalaq aa gaya iztirab aa gaya

qalaq aa gaya iztirab aa gaya
ye dil kya gaya ek azab aa gaya

lifafe mein purze mere khat ke hain
mere khat ka aakhir jawab aa gaya

idhar badhte badhte badha dast-e-shauq
udhar aate aate hijab aa gaya

kaha us ne dekha jo dar par mujhe
kahan se ye khana-kharab aa gaya

jabin pur-shikan hai nigah shoala-rez
ye kaun aaj zer-e-itab aa gaya

sikandar nasibe ka hai wo faqir
tere dar se jo kaamyab aa gaya

ye aalam hua tabish-e-husn se
sawa neze par aaftab aa gaya

hue hi the aamada tauba pe hum
ki gardish mein jam-e-sharab aa gaya

hui qail-e-jalwa-e-tur khalq
sar-e-baam wo be-naqab aa gaya

ye kya kam hai ai shaikh mai ka jawaz
wo kabe se uth kar sahab aa gaya

uthae gae bazm se bul-hawas
unhen shewa-e-intikhab aa gaya

adu sath rahne lage ai 'wafa'
gahan mein mera aaftab aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close