qalb ko barf-ashna na karo

qalb ko barf-ashna na karo
gul kisi taur ye diya na karo

zindagi bhi hai ek marg-e-dawam
tum jo jine ka haq ada na karo

jis mein phulon pe panw dharna pade
ikhtiyar aisa rasta na karo

zahr pi jao bankpan ke sath
zahr chakhne ka tajraba na karo

gur sikhae jo jang-bazi ke
aisi danish ko rahnuma na karo

zulm to zalimon ka shewa hai
qahr hai tum jo tajziya na karo

sab khizan zade kah rahe hain 'hazin'
yan pe zikr-e-gul-o-saba na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close