qarib aate hue aur dur jate hue

qarib aate hue aur dur jate hue
ye kaun log hain be-wajh muskuraate hue

ye lamhe saz-e-azal se chhalak ke gir gae the
tabhi se yun hi musalsal hain gungunate hue

ek aisi samt jidhar kab se hu ka aalam hai
main ja raha hun akela qadam badhate hue

main kab se dekh raha hun ajib si harakat
mera likha hua kuchh log hain mitate hue

jo dal ke pas the un se hai marka darpesh
chala hun jazbon ki diwar aaj dhate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close