qarib tha ki hararat se jal uTha hota

qarib tha ki hararat se jal utha hota
diya hatheli pe kuchh waqt agar ruka hota

banaya jata agar tahniyon se pinjre ko
qafas mein kuchh to parindon ko aasra hota

tumhaare jude mein hai is liye salamat hai
ye phul shakh pe pazhmurda ho gaya hota

khuda ka shukr ki nisbat qalam se hai warna
hamare hath bhi barud lag chuka hota

bilakta bachcha kahan bap se sambhalta hai
jo hoti man to use chup kara liya hota

tujhe lagi hi nahin ishq ki hawa 'tasir'
wagarna tujh mein koi aur bolta hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close