qarz-e-jaan se nimaT rahi hai hayat

qarz-e-jaan se nimat rahi hai hayat
us ki jaanib palat rahi hai hayat

rafta rafta ghata chhate jaise
bas isi tarah chhat rahi hai hayat

chehra pahchan tak nahin pati
gard mein itni at rahi hai hayat

jaise suraj ghurub hota hai
phail kar yun simat rahi hai hayat

kitne manzar hain ek manzar mein
kitne hisson mein bat rahi hai hayat

koi us ko badha na paya 'adil'
lamha lamha jo ghat rahi hai hayat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close