qasam KHuda ki na jaana kahin nahin jaana

qasam khuda ki na jaana kahin nahin jaana
bahut bura hai zamana kahin nahin jaana

ruko ruko mere bhai pate ki baat suno
yahin daba hai khazana kahin nahin jaana

agar tumhein kabhi jaana ho tum chale jaana
mujhe to wada nibhana kahin nahin jaana

sitara khud hi mera jab tawaf karta hai
to phir mujhe kahan jaana kahin nahin jaana

yun hi koi nahin banta hai waqt ka sardar
kate to sar bhi katana kahin nahin jaana

ye dard-e-ishq tera la-ilaj hai 'yahya'
use kabhi nahin jaana kahin nahin jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close