qismat mein dard hai to dawa hi na launga aaina-e-yaqin pe siyahi na launga ya to mere bayan pe munsif yaqin kare ya phir saza likhe main gawahi na launga is daur-e-na-shanas mein kuchh bhi kahun magar ab dastan mein zikr-e-wafa hi na launga apnon se jang hai to bhale haar jaun main lekin main apne sath sipahi na launga dosh-e-karam pe bar hai jab harf-e-muddaa phir main zaban pe harf-e-dua hi na launga jab tum saf-e-adu mein chale jaoge to phir dil mein malal-e-kor-nigahi na launga maidan-e-kar-zar mein 'akhtar' kabhi bhi main khauf-e-sinan-e-zill-e-ilahi na launga