qisse bachpan ke jo ek roz suhane nikle

qisse bachpan ke jo ek roz suhane nikle
dushmanon mein hi kai dost purane nikle

kar liya tark-e-talluq ka irada to use
meri har baat mein phir kitne bahane nikle

sukhti kasht pe ek roz jo barsa pani
nanhe bachche sabhi ganw ke nahane nikle

qafile yaadon ke yak-lakht dabe panw se
meri aankhon se meri nind churane nikle

shama ek samt jali aur udhar parwane
apne hi khun ke dariya mein nahane nikle

rukh jo pazhmurda kisi shokh ka dekha to laga
kaise guzri hai shab-e-gham ye batane nikle

'nazr' phir aaya hai ek rasm nibhane ka din
saj sanwar ke sabhi rawan ko jalane nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close