qurbat ke un dinon mein bhi jaana paDa mujhe

qurbat ke un dinon mein bhi jaana pada mujhe
aankhon se apni raaz chhupana pada mujhe

dil ko to main ne jhuth se bahla liya magar
thoda bahut to shor machana pada mujhe

wo chahta tha khelna mere hi jism se
phir darmiyan ishq ke aana pada mujhe

us ko tha shauq beach samundar mein marne ka
sahil ko khinch khinch ke lana pada mujhe

be-rang karni thi mujhe apni ye zindagi
so shairi mein rang girana pada mujhe

us ka ye manna tha ki main us se badh ke hun
kar ke tabah khud ko ghatana pada mujhe

tu ban raha khuda hai to ye bhi hisab de
kitna bigad kar ke banana pada mujhe

is sher ko sunana tha us shakhs ko mujhe
mahfil mein aap ki ye sunana pada mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close