qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha

qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha
ek bar bichhde to rabta nahin rakkha

itna to samajhte the hum bhi us ki majburi
intizar tha lekin dar khula nahin rakkha

hum ko apne bare mein khush-gumaniyan kyun hon
hum ne ru-ba-ru apne aaina nahin rakkha

jab pata chala is mein sirf khun jalta hai
us ke baad sochon ka silsila nahin rakkha

har dafa wahi chehre barha wahi baaten
in purani yaadon mein kuchh naya nahin rakha

apne apne raste par sab nikal gae ek din
sath chalne walon ne hausla nahin rakkha

jab hawa ke rukh par hi kashtiyon ko bahna tha
tum ne baadbanon ko kyun khula nahin rakkha

hum ko apne bare mein harf harf likhna tha
dastan lambi thi hashiya nahin rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close