raat aai hai bachchon ko paDhane mein laga hun

raat aai hai bachchon ko padhane mein laga hun
khud jo na bana un ko banane mein laga hun

wo shakhs to rag rag mein meri gunj raha hai
barson se gala jis ka dabane mein laga hun

utra hun diya le ke nihan-khana-e-jaan mein
soe soe aaseb jagane mein laga hun

patthar hun to shishe se mujhe kaam pada hai
shisha hun to patthar ke zamane mein laga hun

fankar ba-zid hai ki lagaega numaish
main hun ki har ek zakhm chhupane mein laga hun

kuchh padhna hai kuchh likhna hai kuchh rona hai shab ko
main kaam sar-e-sham chukane mein laga hun

aise mein to ab sabr bhi mushkil hua 'akbar'
sab kahte hain main us ko bhulane mein laga hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close