raat ajab aaseb-zada sa mausam tha

raat ajab aaseb-zada sa mausam tha
apna hona aur na hona mubham tha

ek gul-e-tanhai tha jo hamdam tha
khar o ghubar ka sarmaya bhi kam kam tha

aankh se kat kat jate the sare manzar
raat se rang-e-dida-e-hairan barham tha

jis aalam ko hu ka aalam kahte hain
wo aalam tha aur wo aalam paiham tha

khar khamida-sar the bagule be-awaz
sahra mein bhi aaj kasi ka matam tha

raushniyan atraf mein 'zehra' raushan thin
aaine mein aks hi tera maddham tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close