raat bhar KHwab ke dariya mein sawera dekha

raat bhar khwab ke dariya mein sawera dekha
din ke sahil pe jo utre to andhera dekha

khud ko likkha bhi hai main ne hi mitaya bhi hai khud
qalam-e-ghair ne saya bhi na mera dekha

jin ke chehron pe chamak nur ka haala atraf
un ke zehnon ko jo khola to andhera dekha

jin ke teshon ko raha koh-kani ka dawa
unhen mahlon ka bhi karte hue phera dekha

jo mujhe dene ko aate the gham apne aksar
un ki khushiyon ne kabhi ghar bhi na mera dekha

umr kul guzri thi padhte hue chehra tera
aaj dhunda to kahin aks na tera dekha

jo mujhe barg-e-khizan samjhi thin un aankhon ne
nam auraq-e-bahaaran pe bhi mera dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close