raat din chalta hai charcha kya kahen dekhte hain sab tamasha kya kahen sakht phanda hai hazaron sal ka kis ne bin ganthon ke bandha kya kahen jugnuon ka jhund man mein aa basa hai ujala ya andhera kya kahen lene dene se hue kitne wo khush kha gae donon hi dhoka kya kahen baadalon ke ped ug aae ghane kab dhanak dalegi jhola kya kahen bail kolhu mein hai kab se ghumta kaisi manzil kaisa rasta kya kahen