raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge

raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge
kitne bujhte hue tare sar-e-mizhgan honge

qahr hai saat-e-mahshar hai ki kohram-e-fana
khak is shahr-e-fana-kosh mein insan honge

shahr ho dasht ho mahfil ho ki virana ho
hum jahan jaen wahi khar-e-mughilan honge

kaise is shahr-e-kharabi mein basar ki hum ne
kal jo aaenge wo angusht-ba-dandan honge

sham se dil mein taraazu hai koi tir-e-sitam
raat guzregi na khwabon ke shabistan honge

did ka bar-e-amanat na uthega us shab
khun-chakan subh talak dida-e-hairan honge

fikr mahbus hui harf-e-dua gung hua
ahl-e-iman-o-nazar khak-ba-daman honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close