raat jab tut kar bikhar jae jagne wala phir kidhar jae umr guzri hai jaise kanon se sarsaraati hawa guzar jae apni yaaden bhi sath le ja tu ye tera qarz bhi utar jae tez chalne mein gir na jae kahin waqt se bol do thahar jae ab to tu bhi nahin hai dhadkan mein dil ka kya kaam ab wo mar jae