raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha

raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha
chand bhi adhura tha main bhi na-mukammal tha

aankh ki munderon par aarzu nahin larzi
ek charagh ki lau se ek charagh ojhal tha

ja mila tere dar ke gum-shuda zamanon mein
meri umr ka hasil pyar ka jo ek pal tha

kyun sulagti aawazen bhig bhig jati thin
dasht-e-na-rasai mein dhup thi na baadal tha

dur to na tha itna khema us ke khwabon ka
raste mein apni hi khwahishon ka jangal tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close