raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen

raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen
hum bhala kis ke liye ye kar-e-la-sani karen

din to din raaton ko bhi ye apni man-mani karen
mamlikat par dil ki yaaden jaise sultani karen

bas gae hain aankh mein manzar pas-e-manzar sarab
hum kahan tak apne khwabon ki nigahbani karen

ek tilismi rang mein kho jaen jab chehre tamam
farz hai aankhon pe kya izhaar-e-hairani karen

ab to sare faisle hain sang-dil raaton ke hath
ye agar chahen to phir khwabon ki arzani karen

jab udas aankhen dilon se guftugu karne lagen
phir to lab bekar hi zikr-e-pashemani karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close