raat kati hai jag kar baba din guzara hai dar par baba hath aaya na raushni ka sarab dur tha chand ka nagar baba apne markaz se dur ho kar hum ho gae aur dar-ba-dar baba chot kha kar sambhal na pae hum phul phenka tha tak kar baba hum faqiron mein mil ke baith kabhi takht-e-taus se utar baba raston ke azab se dar kar yun na har har qadam pe mar baba thi dhanak dur aasmanon mein aur hum the shikasta-par baba