raat tahriron ki ab yaksar KHayali ho gai

raat tahriron ki ab yaksar khayali ho gai
lafz jab jage ibarat bhi nirali ho gai

anginat chehre the shahr-e-dil mein lekin kya kahun
waqt ka saya pada basti ye khali ho gai

jin ka ek ek lafz tha muzhda nae mausam ke nam
haif un safhat ki surat bhi kali ho gai

dil ke mahbas se chale the qafile yaadon ke par
ek kiran palkon ki suli par sawali ho gai

ham-safar shaistagi thi rahguzar-e-zist mein
phir bhi jis se baat ki har baat gali ho gai

hadson ki dhund se fankar ne jis ko gadha
shukr hai us but ki peshani ujali ho gai

kaise is mausam ko daur-e-gul kahun 'umid' main
rang se mahrum jab ek ek dali ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close