raat us ke samne mere siwa bhi main hi tha sab se pahle main gaya tha dusra bhi main hi tha main mukhalif samt mein chalta raha hun umr bhar aur jo us tak gaya wo rasta bhi main hi tha sab se kat kar rah gaya khud main simat kar rah gaya silsila tuta kahan se sochta bhi main hi tha sab se achchha kah ke us ne mujh ko rukhsat kar diya jab yahan aaya to phir sab se bura bhi main hi tha waqt ke mehrab mein jo be-sabab jalta raha raat ne mujh ko bataya wo diya bhi main hi tha khud se milne ki tamanna par zawal aane ke baad wo samajhta hai ki us ka aaina bhi main hi tha