raaton ko din ke sapne dekhun din ko bitaun sone mein

raaton ko din ke sapne dekhun din ko bitaun sone mein
mere liye koi farq nahin hai hone aur na hone mein

barson baad use dekha to aankhon mein do hire the
aur badan ki sari chandi chhupi hui thi sone mein

dharti teri gahrai mein honge mithe sot magar
main to sarf hua jata hun kankar patthar dhone mein

ghar mein to ab kya rakkha hai waise aao talash karen
shayad koi khwab pada ho idhar udhar kisi kone mein

sae mein saya ulajh raha tha chahat ho ki adawat ho
dur se dekho to lagte the suraj chand bichhaune mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close