tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab

tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab
nind un ko mere sath na aai tamam shab

shikwa mujhe na ho jo mukafat had se ho
wan sulh ek dam hai ladai tamam shab

ye dar raha ki sote na paen kahin mujhe
wade ki raat nind na aai tamam shab

sach to ye hai ki bol gae aksar ahl-e-shauq
bulbul ne ki jo nala-sarai tamam shab

dam bhar bhi umr khoi jo zikr-e-raqib mein
kaifiyat-e-visal na pai tamam shab

thoda sa mere haal pe farma kar iltifat
karte rahe wo apni badai tamam shab

wo aah tar o paud ho jis ka hawa-e-zulf
karti hai ambari o sabai tamam shab

wo subh jalwa jalwagar-e-bagh tha jo raat
murgh-e-sahar ne dhum machai tamam shab

afsane se bigad hai an-ban hai khwab se
hai fikr-e-wasl o zikr-e-judai tamam shab

jis ki shamim-e-zulf pe main ghash hun 'shefta'
us ne shamim-e-zulf sunghai tamam shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close