rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai

rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai
samajh mein aa na saki dil ki jo haqiqat hai

kuduraton se ye ahl-e-jahan ki haalat hai
na ab dilon mein safai na rasm-e-ulfat hai

mariz-e-hijr ki ab kuchh ajib haalat hai
na hosh hi mein hai apne na khwab-e-ghaflat hai

bane jo aur bigad jae hai meri taqdir
bigad bigad ke bane jo adu ki qismat hai

qadam qadam pe hain sahra ke khar daman-gir
wafa ki rah mein har-gam par musibat hai

zaban khulegi na mahshar mein samne un ke
kare jo hashr mein fariyaad kis ki jurat hai

gulon ka khul ke bikharna hai aaina gham ka
chaman ka yun to har ek patta naqsh-e-ibrat hai

bikhar raha hai kitab-e-jahan ka shiraaza
qayamat aane se pahle ye kya qayamat hai

simat ke aa gai pahlu mein kaenat-e-jahan
samajh mein aa nahin sakti jo dil ki wusat hai

ye zauq-e-sher-o-sukhan fitratan hai ai 'shoala'
numud-o-nam ki khwahish na fikr-e-shohrat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close