rabt ho ghair se agar kuchh hai

rabt ho ghair se agar kuchh hai
is taraf bhi magar nazar kuchh hai

be-khabar hai wo har do aalam se
jis ko us shokh ko khabar kuchh hai

yan koi majra-sharik nahin
hai agar kuchh to chashm-e-tar kuchh hai

mit gaya qissa mar gaya aashiq
ho mubarak tumhein khabar kuchh hai

justuju hai wahin wahin hai nazar
jalwa-rezi jidhar jidhar kuchh hai

hai tamasha ba-qadr-e-zauq-e-nigah
dekhta hun jidhar udhar kuchh hai

bad bala hai kisi kisi ki nazar
tum na jaana ki baam par kuchh hai

azm su-e-adam to hai 'raunaq'
tosha-e-rah bhi magar kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close