rabt mein pahlu-e-nairang kahan se aaya sahab-e-arz ko ye dhang kahan se aaya khushnuma aks hue khar ki surat kaise aaine sab the to phir sang kahan se aaya gard ki zad mein hai khushbu se mahakta aangan khwab mein dahr ka aahang kahan se aaya sabz hai wadi-e-be-ab mein gulshan mera shab ki taswir mein ye rang kahan se aaya dost dushman hain sabhi waza pe qaem 'rahat' kya kahun jit ke main jang kahan se aaya