rabta kyun rakhun main dariya se

rabta kyun rakhun main dariya se
pyas bujhti hai meri sahra se

hai masail se ab wahi uljha
rishta joda hai jis ne duniya se

khushiyan imroz ki wo pata hai
jo ki ghafil nahin hai farda se

jis ko hasil thin neamaten sari
ab hai mahrum aab-o-dana se

hai khuda ki nazar mein aali wahi
khush-dili se jo milta adna se

thi jise saqi se 'zafar' nisbat
tishna lauta wo baada-khana se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close