rafta rafta aankhon ko hairani de kar jaega khwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega dekh ke sar par gahra baadal khushk nigahen kahti hain aaj hamein ye abr yaqinan pani de kar jaega kuchh thahraw to be-shak us se mere ghar mein aaya hai lekin ek din mujh ko wo tughyani de kar jaega aaega to ek do pal mehman rahega aankhon mein jaega to ek qissa tulani de kar jaega kaghaz ke ye phul bhi apne chehron ko faq paenge ab ke mausam in ko bhi hairani de kar jaega khush-manzar pe aankh jamae baithe hain ki lagta hai rang koi be-rang nazar ko dhani de kar jaega