ragon mein aaj bhi ye khun sa rawan hai kya wo dard-e-ishq haqiqat mein jawedan hai kya parind kis liye karte hain aashiyan se kuch unhen bhi hajat-e-yak-gosha-e-aman hai kya ye hum jo chhute hain har roz chand taron ko hamare panw tale koi aasman hai kya hawa mein khel raha hai jo abr ki surat kisi makan se udta hua dhuan hai kya