rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gaya

rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhatak kar aa gaya
subh ka bhula tha lekin sham ko ghar aa gaya

jaise us ko rok sakna apne bas mein hi nahin
jab bhi chaha be-ijazat ghar ke andar aa gaya

bhag kar jaen kahan ab tu hi kuchh tadbir kar
samne apne samundar sar pe lashkar aa gaya

us ne koshish to bahut ki sar bachane ki magar
jis taraf se tha nahin andesha patthar aa gaya

hum na kahte the ki 'farrukh' aadmi achchha nahin
dekh tujh ko bhi yaqin ab is se mil kar aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close